Aisa Bhi Mat Kar... Dec 3rd, 2019,
Ye
to hamesha se pata tha, ki yahi hona hai, pehli
bar to hai nahi.
Par
is
baar itna bura q lag reha h yar.
Ab tk to adat si ho jani chahiye thi shayad ho b gai h, aur
hamari ous rat ki baat k bad mein mentally prepared abi tha is baar,
to
itna farak nahi pdna chahiye tha, zindgi me to aisa hota hi rehta
hai. fir
abhi
muje bura lag reha hai.
Sub
aise khatam hona tha kya.
Hamari ki soch b kitni age tak chali jati h. Shayad akelepan ne aisa kar
diya h. Koi family nahi, ek b aisa nahi jo kabi ek bar bs aise
hi phone kr k ek br puch le ki kaisa h, kya kar reha hai. Kissi se
koi bat nahi, bina kaam k koi nahi puchta ab.
Family b nahi rahi jo
ghar chala jaya karu. Ous
din, acha lag reha tha tha
sath sath
me,
bs yahi galati ho gai shayd. Jab muje ache se pata tha ki
jo chiz mujhe
ache lagti h, kuch b acha hota h, wo mujhse waise hi door ho jata h,
or wahi ho
reha hai. Mei hamare
bich chize badalte huwe mehsus
kar sakta hu, sub hote huwe daykh reha hu,
par na kuch bol sakta hu or na kuch kar sakta hu. Kuch kahu b to
kaise, kis haq
se. Ouse
abhi yahi lagta hoga shayd, ya nahi, mujhe pata nahi. Par
Kash
mein ouse bata pata ki mein abhi bhi wahi khada hu, ousk liye abhi
abhi wahi hoon jis se kuch waqt pehle tak sari bate kiya karti thi.
Meri taraf se kabhi kuch nahi badla. Bs
ouse ek bar pehel hi to karni hai. Mein bhi ousk man ki sari bate jan
na chaha hu, agar koi bat hai, ya bura laga to bolti kyo nahi pehle
jaise. Yakeen nahi reha kya mujhpe ab.
Sab
meine hi kharb kardiya kya yaar, galti kardi na meine. Hum dost the,
sub kitna
acha tha,
ek dusre k sath acha lagta tha, hai na..!! Muje meri kamiyaa ache se
pata h, mein koi bat apne man me nahi rakh sakta, pata
sub sach sach bol deta hu, express kar deta hu. Par ek bat
btaiou tuje, mein har kisi se subkuch
nahi bol pata, aise
baat nahi kar pata. Ha tu muje achi lagne lagi thi, aur abhi bhi
lagti hai. Mein apne dimag ko sambhal sakta hu, par dil ko koi kaise
sambhale. Aur koi baat dil me rakhna, chupa k rakhna ye meri adat
nahi mujhse
nahi hota. Ek
baat btaiou, muje bhi
sach me ye lagne laga tha ki tuje bhi mere sath acha lagta h. Bate
karte karte kab rat se subha ho jaya karti thi,
mein kabhi nahi bhul
paiouga
ga. Par meine kuch bhi hamari dosti k badle nahi chaha tha
yar. Meine sach me sub kharab kar diya na. Hum ache dost the,
shayad ab wo b nahi rahe. Aur
tujhse abi bohot naraz hu mein,
agar tuje b meri koi bate
buri lagi, to bs ek bari, ek bari bol deti na muje. Koi ishara
hi de deti. Sub kuch to bata diya karti thi, to is bari kyo nahi
boli. Mujhe yakeen hai, tere dil me kuch to hoga hi mere liye bhi,
mein itna galat abhi nahi ho sakta, aur ye abhi ache se samajhta hu,
ki tu mujhse door aaj ki wajah se nahi, bite huwe kal ki wajah se hoi
h, pagal
ladki inta duffer samajhti hai kya mujhe.
Ek bar khul k baat to krti yar mujhse. Sub aise kyo chor diya. Wpis
sub waisa nahi ho sakta kya?
Kitna
time ho gaya h, hamara milna nahi hota ab, aur
kahi na kahi dar lagta hai ki shayad ab mile bhi na.
Whatsapp
pe abhi itni baat nahi hoti ab. Busy hai, ache se pata hai, par
sach bolu, tujhe shayad galatfehmi, mein itna b duffer nahi hoon.
Mujhe
sub samajh ata hai yar.
Bina bole bhi bohot kuch samajh jata hu, thodi hi sahi par tujhse
zada zindgi daykhi hai meine. Bohot
kaam hai, phir bhi 5 10 min to nikal sakti hai na,
bas chize badal rahi h, mein daykh sakta hoon, feel kar sakta hu yar,
bas kuch kar nahi sakta. Aur mein tujhe iss k liye kabhi kuch bolu
ga bhi nahi, andar ki baat btaiou, itna confidence hi nahi reha aur
shayad dar bhi hai thoda. Tera
kabhi baat karne ka man karega toh tu kargei na, kare
gi na yar? mein
kyo bolu kuch, aur bolne
ka haq abhi
to nahi reha
na
ab
mere pas. Mujhe
ye bhi pata hai, ki ab age kya hoga.
Aur
abhi bohot kuch bolna chahta hu, bohot si bate hai dil me jo tuje
btana chahta hu. Shayda kabi bol b na paiouga ab, wo
waqt ab kabi
wapis nahi aiga na yar, na hi bharosa
reha hai khud pe ab.
Khud se hi oumid nahi rahi, kisi aur
se
kya karu.
Bs miss
karleta
hu kabhi kabhi.
Soch
k hasi aati h khud pe kabi kabi, ki saal ab khatam hone ko h. Khud ko
daykhta hu to apne aap ko wahi khada
daykhta
hu jha last yr tha. Shayad ous se b low. Itna akela kabi nahi laga.
Kabi itna akela nahi tha. Wo soch ab fir se aane lagi h . Aur kuch to
kabi hoga nahi, kash yahi sach ho jaiy, kismat
bas ek bar, ek bar sath ded.
Waise b sach ho b gya to na kisi ko farak pdega kabi na kisi ko pata
b chalega 4 5 din tak.. Yeha
bhi Samajh
nahi ata ye soch k khush hona chahiye ya dukhi.
Chal tu
kaam karle ab apna, mein to bolta hi rahu ga. Kabhi mile, toh khub
bate karege. Sub btaiouga tujhe. Dhayan rakhna aapna.
--$-$-$-$-$-$--
Comments
Post a Comment